zindagi ke chehre par tez dhup chamki hai
zindagī ke chehre par tez dhuup chamkī hai
yā bujhe hue dil se ġham kī barf pighlī hai
oT meñ hai sūraj bhī tīrgī bhī gahrī hai
ik kiran shab-e-ġham se phir bhī phuuT niklī hai
zaḳhm ke gulāboñ se dil huā hai jab gulgūñ
chashm-e-ārzū se bhī ḳhuuñ kī buuñd Tapkī hai
ho ke rah gayā huuñ maiñ apne aap kyoñ gum-sum
soch kī fasīloñ se kis ne ye sadā dī hai
kab kā jal bujhā hai ye apnī hī havāoñ se
ab to dil ke sahrā meñ sirf raakh uḌtī hai
zindagi ke chehre par tez dhup chamki hai
ya bujhe hue dil se gham ki barf pighli hai
oT mein hai suraj bhi tirgi bhi gahri hai
ek kiran shab-e-gham se phir bhi phuT nikli hai
zaKHm ke gulabon se dil hua hai jab gulgun
chashm-e-arzu se bhi KHun ki bund Tapki hai
ho ke rah gaya hun main apne aap kyon gum-sum
soch ki fasilon se kis ne ye sada di hai
kab ka jal bujha hai ye apni hi hawaon se
ab to dil ke sahra mein sirf rakh uDti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.