zindagi ke har-nafas ko jaan-e-jaan samjha tha main
zindagī ke har-nafas ko jān-e-jāñ samjhā thā maiñ
chand lamhoñ ko hayāt-e-jāvidāñ samjhā thā maiñ
chhūT kar ab qaid-e-rang-o-bū se ye sābit huā
vo qafas thā jis ko apnā āshiyāñ samjhā thā maiñ
merā hī afsāna muzmar nāla-e-bulbul meñ thā
jis ko ġhaflat se hadīs-e-dīgarāñ samjhā thā maiñ
rang-e-ruḳh betābī-e-dil āh-e-sard-o-ashk-e-garm
sab the ye ġhammāz jin ko rāzdāñ samjhā thā maiñ
kyā huā ashk-e-musalsal sard aaheñ kyā huiiñ
ishq ko to kārvāñ-dar-kārvāñ samjhā thā maiñ
zindagi ke har-nafas ko jaan-e-jaan samjha tha main
chand lamhon ko hayat-e-jawidan samjha tha main
chhuT kar ab qaid-e-rang-o-bu se ye sabit hua
wo qafas tha jis ko apna aashiyan samjha tha main
mera hi afsana muzmar nala-e-bulbul mein tha
jis ko ghaflat se hadis-e-digaran samjha tha main
rang-e-ruKH betabi-e-dil aah-e-sard-o-ashk-e-garm
sab the ye ghammaz jin ko raazdan samjha tha main
kya hua ashk-e-musalsal sard aahen kya huin
ishq ko to karwan-dar-karwan samjha tha main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.