zindagi ke kaise kaise hausle pathra gae
zindagī ke kaise kaise hausle pathrā ga.e
aarzū se chal ke tark-e-ārzū tak aa ga.e
yaad hai itnā ki ubhrā thā koī aks-e-jamīl
aur phir yādoñ ke saare aa.ine dhuñdlā ga.e
mere maazī ke chaman meñ the jo kuchh yādoñ ke phuul
rafta rafta zindagī kī dhuup meñ kumhlā ga.e
zindagī bhī hai tumhāre ġham ke pas-e-manzar kī den
jab bhī maiñ jiine se tañg aayā huuñ tum yaad aa ga.e
zindagi ke kaise kaise hausle pathra gae
aarzu se chal ke tark-e-arzu tak aa gae
yaad hai itna ki ubhra tha koi aks-e-jamil
aur phir yaadon ke sare aaine dhundla gae
mere mazi ke chaman mein the jo kuchh yaadon ke phul
rafta rafta zindagi ki dhup mein kumhla gae
zindagi bhi hai tumhaare gham ke pas-e-manzar ki den
jab bhi main jine se tang aaya hun tum yaad aa gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.