zindagi ke lutf se sarshaar hona chahiye
zindagī ke lutf se sarshār honā chāhiye
aadmī ko aadmī se pyaar honā chāhiye
ye junūnī kaifiyat dil se nikāleñ apne log
amn ke māhaul meñ tyauhār honā chāhiye
tum ko apne saath hī rakkheñge ham har haal meñ
haañ vafāoñ kā magar iqrār honā chāhiye
duur rah kar bhī usī pahle ta'alluq kī tarah
tere mere darmiyāñ ik taar honā chāhiye
mas.aloñ ko hal kareñ mil baiTh kar ham tum magar
faisla nā-qābil-e-inkār honā chāhiye
manzileñ ḳhud baḌh ke chūmeñgī tire 'nāzir' qadam
dil meñ lekin jazba-e-īsār honā chāhiye
zindagi ke lutf se sarshaar hona chahiye
aadmi ko aadmi se pyar hona chahiye
ye jununi kaifiyat dil se nikalen apne log
amn ke mahaul mein tyauhaar hona chahiye
tum ko apne sath hi rakkhenge hum har haal mein
han wafaon ka magar iqrar hona chahiye
dur rah kar bhi usi pahle ta'alluq ki tarah
tere mere darmiyan ek tar hona chahiye
masalon ko hal karen mil baiTh kar hum tum magar
faisla na-qabil-e-inkar hona chahiye
manzilen KHud baDh ke chumengi tere 'nazir' qadam
dil mein lekin jazba-e-isar hona chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.