zindagi KHwab bhi hai fitna-e-bedar bhi hai
zindagi KHwab bhi hai fitna-e-bedar bhi hai
Chandra Parkash Jauhar Bijnauri
MORE BYChandra Parkash Jauhar Bijnauri
zindagī ḳhvāb bhī hai fitna-e-bedār bhī hai
naġhma-e-amn bhī hai na.ara-e-paikār bhī hai
shauq-e-nazzāra bhī hai jalva-gah-e-yār bhī hai
dekhnā hai ki hameñ jur.at-e-dīdār bhī hai
kaun hai jis ko nahīñ da.avā-e-irfān-e-ḳhudī
is haqīqat se magar koī ḳhabar-dār bhī hai
inqilābāt kā kyā ġham ki unhī ke dam se
raunaq-e-bazm bhī hai garmī-e-bāzār bhī hai
kuchh to ḳhud husn ko hai jalva-numā.ī se gurez
aur kuchh maslahat-e-tālib-e-dīdār bhī hai
garmi-e-ishq meñ donoñ haiñ barābar ke sharīk
sham.a ke soz meñ parvāne kā kirdār bhī hai
apne māhaul kī nā-qadrī-e-paiham kā shikār
aaj kā fan hī nahīñ aaj kā fankār bhī hai
zindagī ishrat-e-paiham hī nahīñ hai 'jauhar'
zindagī jehd-e-musalsal kī talabgār bhī hai
zindagi KHwab bhi hai fitna-e-bedar bhi hai
naghma-e-amn bhi hai nara-e-paikar bhi hai
shauq-e-nazzara bhi hai jalwa-gah-e-yar bhi hai
dekhna hai ki hamein jurat-e-didar bhi hai
kaun hai jis ko nahin dawa-e-irfan-e-KHudi
is haqiqat se magar koi KHabar-dar bhi hai
inqilabaat ka kya gham ki unhi ke dam se
raunaq-e-bazm bhi hai garmi-e-bazar bhi hai
kuchh to KHud husn ko hai jalwa-numai se gurez
aur kuchh maslahat-e-talib-e-didar bhi hai
garmi-e-ishq mein donon hain barabar ke sharik
shama ke soz mein parwane ka kirdar bhi hai
apne mahaul ki na-qadri-e-paiham ka shikar
aaj ka fan hi nahin aaj ka fankar bhi hai
zindagi ishrat-e-paiham hi nahin hai 'jauhar'
zindagi jehd-e-musalsal ki talabgar bhi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.