zindagī ḳhvāb dikhātī hai abhī tak mujh ko
apnī āñkhoñ pe ka.ī baar huā shak mujh ko
aadmī ḳhaak huā jaatā hai dil ke hāthoñ
us kī galiyoñ meñ phirātā hai ye bālak mujh ko
maiñ ne bhī ḳhud ko tamāshā.ī samajh rakkhā hai
tū bhale roz dikhātā rahe nāTak mujh ko
ik thakan hai ki jo har roz baḌhī jaatī hai
mere a.asāb sambhāleñge kahāñ tak mujh ko
ab dikhā.ī nahīñ detā hai koī bhī chehra
ab sunā.ī nahīñ detī koī dastak mujh ko
chalte chalte hī kisī moḌ pe aa jā.egī shaam
chhoḌ jā.egā ye saaya bhī achānak mujh ko
zindagi KHwab dikhati hai abhi tak mujh ko
apni aankhon pe kai bar hua shak mujh ko
aadmi KHak hua jata hai dil ke hathon
us ki galiyon mein phiraata hai ye baalak mujh ko
main ne bhi KHud ko tamashai samajh rakkha hai
tu bhale roz dikhata rahe naTak mujh ko
ek thakan hai ki jo har roz baDhi jati hai
mere aasab sambhaalenge kahan tak mujh ko
ab dikhai nahin deta hai koi bhi chehra
ab sunai nahin deti koi dastak mujh ko
chalte chalte hi kisi moD pe aa jaegi sham
chhoD jaega ye saya bhi achanak mujh ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.