zindagi KHwab-e-hasin ka nam hai
zindagī ḳhvāb-e-hasīñ kā naam hai
yā koī ḳhush-rañg ḳhālī jaam hai
zindagī kā kyā hasīñ anjām hai
dil meñ terī yaad lab par naam hai
hañs liyā thā lahje par ham ne kabhī
umr bhar ab āñso.oñ se kaam hai
mast hai jis ne bhī dekhā ek baar
chashm-e-mai-gūñ vo chhalaktā jaam hai
ye shikāyat aur ye āh-o-fuġhāñ
terā da.avā-e-mohabbat ḳhaam hai
jis ne paa.ī ek bhī terī jhalak
vo sadā ḳhāmosh hai gumnām hai
ruuh par ik kaif ban kar chhā ga.ī
yaad se mahkī huī jo shaam hai
pyaar kī terī nazar yā qahr kī
aur kyā ye gardish-e-ayyām hai
jā-ba-jā ham ḳhud bhaTakte hī phire
varna us ke dar pe faiz-e-ām hai
sub.h dekhī hai 'habīb' aur dopahar
aa.ī ab to zindagī kī shaam hai
zindagi KHwab-e-hasin ka nam hai
ya koi KHush-rang KHali jam hai
zindagi ka kya hasin anjam hai
dil mein teri yaad lab par nam hai
hans liya tha lahje par hum ne kabhi
umr bhar ab aansoon se kaam hai
mast hai jis ne bhi dekha ek bar
chashm-e-mai-gun wo chhalakta jam hai
ye shikayat aur ye aah-o-fughan
tera dawa-e-mohabbat KHam hai
jis ne pai ek bhi teri jhalak
wo sada KHamosh hai gumnam hai
ruh par ek kaif ban kar chha gai
yaad se mahki hui jo sham hai
pyar ki teri nazar ya qahr ki
aur kya ye gardish-e-ayyam hai
ja-ba-ja hum KHud bhaTakte hi phire
warna us ke dar pe faiz-e-am hai
subh dekhi hai 'habib' aur dopahar
aai ab to zindagi ki sham hai
- Book : نغمۂ زندگی (Pg. 48)
- Author : جے کرشن چودھری حبیب
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.