zindagi KHwab-e-pareshan thi sahar se pahle
zindagī ḳhvāb-e-pareshāñ thī sahar se pahle
ek uljhā huā naġhma thī asar se pahle
merī āñkhoñ kī guzargāh se aao dil meñ
koī guzrā nahīñ is rāhguzar se pahle
ek mauhūm se ehsās-e-judā.ī ke sivā
paas kuchh bhī to na thā dīda-e-tar se pahle
mujh ko pahchān le badlī huī hālat pe na jā
maiñ ne dekhā hai tujhe apnī nazar se pahle
raat pur-nūr hai māhaul mo.attar hai 'munīr'
koī guzrā hai sar-e-shām idhar se pahle
zindagi KHwab-e-pareshan thi sahar se pahle
ek uljha hua naghma thi asar se pahle
meri aankhon ki guzargah se aao dil mein
koi guzra nahin is rahguzar se pahle
ek mauhum se ehsas-e-judai ke siwa
pas kuchh bhi to na tha dida-e-tar se pahle
mujh ko pahchan le badli hui haalat pe na ja
main ne dekha hai tujhe apni nazar se pahle
raat pur-nur hai mahaul moattar hai 'munir'
koi guzra hai sar-e-sham idhar se pahle
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.