zindagi ki agar kitab paDho
zindagī kī agar kitāb paḌho
merā likkhā ye intisāb paḌho
ishq kī jab koī kitāb paḌho
raah ke kāñToñ ko gulāb paḌho
gar ho ḳhvāhish charāġh likhne kī
mashvara hai ki āftāb paḌho
bas savālāt par ye hangāme
maiñ ne likkhe jo vo javāb paḌho
ishq kā falsafa paḌhā tum ne
merī ġhazloñ kā intiḳhāb paḌho
ham ne ustād se yahī sīkhā
kam likho aur be-hisāb paḌho
shab ke ḳhvāboñ kā kyā gila 'sāhil'
jāgtī āñkhoñ ke ye ḳhvāb paḌho
zindagi ki agar kitab paDho
mera likkha ye intisab paDho
ishq ki jab koi kitab paDho
rah ke kanTon ko gulab paDho
gar ho KHwahish charagh likhne ki
mashwara hai ki aaftab paDho
bas sawalat par ye hangame
main ne likkhe jo wo jawab paDho
ishq ka falsafa paDha tum ne
meri ghazlon ka intiKHab paDho
hum ne ustad se yahi sikha
kam likho aur be-hisab paDho
shab ke KHwabon ka kya gila 'sahil'
jagti aankhon ke ye KHwab paDho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.