zindagi ki bahaar dekhte hain
zindagī kī bahār dekhte haiñ
gul ke pahlū meñ ḳhaar dekhte haiñ
jalva-gar haiñ vo ḳhashmagīñ ho kar
nuur ke saath naar dekhte haiñ
jis taraf bhī nigāh uThtī hai
jalva-e-rū-e-yār dekhte haiñ
pyaar hotā hai jis se ai pyāre
us ko hī baar baar dekhte haiñ
ham samajhte haiñ us ko apnā hī
jis kī āñkhoñ meñ pyaar dekhte haiñ
duḳht-e-raz kī haiñ shoḳhiyāñ qibla
jubba-e-dāġh-dār dekhte haiñ
kyā yahī dil hai jis ko pahlū meñ
ham 'amīñ' be-qarār dekhte haiñ
zindagi ki bahaar dekhte hain
gul ke pahlu mein KHar dekhte hain
jalwa-gar hain wo KHashmagin ho kar
nur ke sath nar dekhte hain
jis taraf bhi nigah uThti hai
jalwa-e-ru-e-yar dekhte hain
pyar hota hai jis se ai pyare
us ko hi bar bar dekhte hain
hum samajhte hain us ko apna hi
jis ki aankhon mein pyar dekhte hain
duKHt-e-raz ki hain shoKHiyan qibla
jubba-e-dagh-dar dekhte hain
kya yahi dil hai jis ko pahlu mein
hum 'amin' be-qarar dekhte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.