zindagi ki basti mein hum jahan pe baste hain
zindagī kī bastī meñ ham jahāñ pe baste haiñ
maut kitnī mahñgī hai zaḳhm kitne saste haiñ
zaḳhm-e-zindagī le kar jis taraf bhī jaatā huuñ
multafit nigāhoñ ke tiir se baraste haiñ
mere ik tabassum ko muddateñ huiiñ lekin
aaj tak na jaane kyoñ log mujh pe hañste haiñ
ġham ke ḳhushk sahrā bhī āñsuoñ ke dariyā bhī
zindagī kī manzil tak manziloñ ke raste haiñ
vādī-e-ta'alluq se ik dhuāñ sā uThtā hai
āñsuoñ kī bārish meñ zaḳhm-e-dil jhulaste haiñ
sirf mujh ko baḳhshe haiñ jo tirī nigāhoñ ne
un hasīn zaḳhmoñ ko kitne dil taraste haiñ
mujh se ġham ke maare ko zindagī se kyā matlab
jaane kyoñ ye āvāza log mujh pe kaste haiñ
bhiig bhiig jaatī haiñ kitnī chāñdnī rāteñ
un kī yaad ke bādal duur tak baraste haiñ
ye bhī ik tasarruf hai un hasīñ nigāhoñ kā
'badr' mere zaḳhm-e-dil phuul ban ke hañste haiñ
zindagi ki basti mein hum jahan pe baste hain
maut kitni mahngi hai zaKHm kitne saste hain
zaKHm-e-zindagi le kar jis taraf bhi jata hun
multafit nigahon ke tir se baraste hain
mere ek tabassum ko muddaten huin lekin
aaj tak na jaane kyon log mujh pe hanste hain
gham ke KHushk sahra bhi aansuon ke dariya bhi
zindagi ki manzil tak manzilon ke raste hain
wadi-e-ta'alluq se ek dhuan sa uThta hai
aansuon ki barish mein zaKHm-e-dil jhulaste hain
sirf mujh ko baKHshe hain jo teri nigahon ne
un hasin zaKHmon ko kitne dil taraste hain
mujh se gham ke mare ko zindagi se kya matlab
jaane kyon ye aawaza log mujh pe kaste hain
bhig bhig jati hain kitni chandni raaten
un ki yaad ke baadal dur tak baraste hain
ye bhi ek tasarruf hai un hasin nigahon ka
'badr' mere zaKHm-e-dil phul ban ke hanste hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.