zindagi ki chahat mein zindagi se mat khelo
zindagī kī chāhat meñ zindagī se mat khelo
raushnī ke dīvāno raushnī se mat khelo
ai butān-e-be-parva kuchh ḳhudā nahīñ ho tum
pyaar kī ḳhudā.ī meñ bandagī se mat khelo
aap hī ne kar Daalā zindagī se begāna
aap hī to kahte the zindagī se mat khelo
pyaar dil kā saudā hai aql dil kī bīmārī
dostī ke parde meñ dostī se mat khelo
raushnī kī ḳhvāhish meñ jal uThe na pairāhan
raushnī meñ sho.ale haiñ raushnī se mat khelo
tum se kuchh nahīñ matlab haañ magar ḳhirad-mando
ham junūñ-parastoñ kī āgahī se mat khelo
naġhma-e-tamannā se ḳhūn-e-dil Tapaktā hai
ishratoñ ke matavālo shā.irī se mat khelo
mehr-o-māh rahte haiñ tīrgī ke siine meñ
bhuul kar 'ra.īs'-aḳhtar tīrgī se mat khelo
zindagi ki chahat mein zindagi se mat khelo
raushni ke diwano raushni se mat khelo
ai butan-e-be-parwa kuchh KHuda nahin ho tum
pyar ki KHudai mein bandagi se mat khelo
aap hi ne kar Dala zindagi se begana
aap hi to kahte the zindagi se mat khelo
pyar dil ka sauda hai aql dil ki bimari
dosti ke parde mein dosti se mat khelo
raushni ki KHwahish mein jal uThe na pairahan
raushni mein shoale hain raushni se mat khelo
tum se kuchh nahin matlab han magar KHirad-mando
hum junun-paraston ki aagahi se mat khelo
naghma-e-tamanna se KHun-e-dil Tapakta hai
ishraton ke matawalo shairi se mat khelo
mehr-o-mah rahte hain tirgi ke sine mein
bhul kar 'rais'-aKHtar tirgi se mat khelo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.