zindagi ki dastan kahte rahe
zindagī kī dāstāñ kahte rahe
phir bhī ḳhud ko be-zabāñ kahte rahe
dostī tarjīh dī jaatī rahī
dostoñ kī haañ meñ haañ kahte rahe
ye hamārā zarf-e-istiqlāl hai
lā-makānī ko makāñ kahte rahe
jab nazar uupar uThī aaya ḳhayāl
ham zamīñ ko āsmāñ kahte rahe
un se āzādī kī qīmat pūchhiye
jo qafas ko āshiyāñ kahte rahe
kis se nākāmī ko apne joḌte
us ko apnī ḳhāmiyāñ kahte rahe
umr guzrī us kī yādoñ ke tufail
yuuñ na 'shā.eq' mehrbāñ kahte rahe
zindagi ki dastan kahte rahe
phir bhi KHud ko be-zaban kahte rahe
dosti tarjih di jati rahi
doston ki han mein han kahte rahe
ye hamara zarf-e-istiqlal hai
la-makani ko makan kahte rahe
jab nazar upar uThi aaya KHayal
hum zamin ko aasman kahte rahe
un se aazadi ki qimat puchhiye
jo qafas ko aashiyan kahte rahe
kis se nakaami ko apne joDte
us ko apni KHamiyan kahte rahe
umr guzri us ki yaadon ke tufail
yun na 'shaeq' mehrban kahte rahe
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.