zindagi ki har ada se ho chale hum aashna
zindagī kī har adā se ho chale ham āshnā
dil bhī hai ġham-āshnā āñkheñ bhī mātam-āshnā
dushmanoñ kī dushmanī to sāmne kī baat thī
dostoñ kī maslahat se ham bhī the kam āshnā
yuuñ to ik sadiyoñ kā maazī hai nazar ke sāmne
aane vaale kal ke lamhoñ se nahīñ ham āshnā
ab koī nā-āshnā tak bhī nahīñ pursān-e-hāl
hāshiya rakhte the jin ke gird har dam āshnā
jaane kyā laġhzish huī ham se ki barham haiñ sabhī
ham-navā hamdard vāqif-kār mahram āshnā
pursish-e-ahbāb hī in kā mudāvā ho to ho
varna dil ke zaḳhm kab hote haiñ marham-āshnā
kāmrāñ bhī lauTte 'afzal' to honā thā yahī
phir bhī ḳhush ho kar na karte ḳhair-maqdam āshnā
zindagi ki har ada se ho chale hum aashna
dil bhi hai gham-ashna aankhen bhi matam-ashna
dushmanon ki dushmani to samne ki baat thi
doston ki maslahat se hum bhi the kam aashna
yun to ek sadiyon ka mazi hai nazar ke samne
aane wale kal ke lamhon se nahin hum aashna
ab koi na-ashna tak bhi nahin pursan-e-haal
hashiya rakhte the jin ke gird har dam aashna
jaane kya laghzish hui hum se ki barham hain sabhi
ham-nawa hamdard waqif-kar mahram aashna
pursish-e-ahbab hi in ka mudawa ho to ho
warna dil ke zaKHm kab hote hain marham-ashna
kaamran bhi lauTte 'afzal' to hona tha yahi
phir bhi KHush ho kar na karte KHair-maqdam aashna
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.