zindagi ki jo saat jis ke hath aai hai
zindagī kī jo saa.at jis ke haath aa.ī hai
ḳhuub soch kar barte chiiz to parā.ī hai
maiñ ne mard-e-haq ban kar jab nazar uThā.ī hai
merā sāmnā karte maut hichkichā.ī hai
ḳhalvat-e-tamanna hai ġham raqīb kā kyoñ ho
aap ye to farmā deñ kyoñ nazar churā.ī hai
eqtidār ke bande jab hue haiñ matvāle
inqalāb kī turshī vaqt ne chakhā.ī hai
muzhda-e-marīz-e-ġham vaqt-e-mudda.ā aaya
raushnī sitāroñ kī dekh jhilmilā.ī hai
aap hoñ ḳhafā mujh se yā maiñ aap se nādim
vo bhī jag-hañsā.ī hai ye bhī jag-hañsā.ī hai
hai qarīb ajal 'hasrat' ab to hosh meñ aa.eñ
zindagī to ġhaflat se aap ne gañvā.ī hai
zindagi ki jo saat jis ke hath aai hai
KHub soch kar barte chiz to parai hai
main ne mard-e-haq ban kar jab nazar uThai hai
mera samna karte maut hichkichai hai
KHalwat-e-tamanna hai gham raqib ka kyon ho
aap ye to farma den kyon nazar churai hai
eqtidar ke bande jab hue hain matwale
inqalab ki turshi waqt ne chakhai hai
muzhda-e-mariz-e-gham waqt-e-muddaa aaya
raushni sitaron ki dekh jhilmilai hai
aap hon KHafa mujh se ya main aap se nadim
wo bhi jag-hansai hai ye bhi jag-hansai hai
hai qarib ajal 'hasrat' ab to hosh mein aaen
zindagi to ghaflat se aap ne ganwai hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.