zindagi ki sham hai izn-e-safar hone ko hai
zindagī kī shaam hai izn-e-safar hone ko hai
ik musāfir vo huuñ jo ki dar-ba-dar hone ko hai
dāġh-dār is dil ko le kar ham kahāñ ab jā.eñge
fitna-gar vo shahr-bhar meñ jalva-gar hone ko hai
jo hamārī jaan the hone lage haiñ ajnabī
kaisā kaisā zaḳhm kaarī ruuh par hone ko hai
ai shab-e-ġham tū batā in hasratoñ se kyā kaheñ
bach rahī haiñ chand sāñseñ aur sahar hone ko hai
ik balā ke baa'd phir se ik balā aatī rahī
lāzmī ik zarb ham par kārgar hone ko hai
dāstān-e-ġham sunā kar vo to uTh kar chal diye
phir se ham par ġham kī bārish tāza-tar hone ko hai
haiñ mirī āñkhoñ meñ aañsū aur laboñ par jaan hai
zindagī ai zindagī tū muḳhtasar hone ko hai
jo ki māñgī thiiñ duā.eñ kho ga.iiñ jaane kahāñ
kuchh hai ghabrāhaT ki ye sab be-asar hone ko hai
un kā aanā thā ki saare bām-o-dar sajne lage
ḳhushnumā is shahr kī har rahguzar hone ko hai
bas nazar kī baat thī jo ham ko ghāyal kar ga.ī
qatl-gāh-e-ishq kī ham par nazar hone ko hai
kuchh to aisī baat hai vo baam par aane lage
kis pe maa.il āj-kal bedād-gar hone ko hai
ham ne 'barham' dekh lī ye zindagī vo zindagī
dekhte hī dekhte ḳhūn-e-jigar hone ko hai
zindagi ki sham hai izn-e-safar hone ko hai
ek musafir wo hun jo ki dar-ba-dar hone ko hai
dagh-dar is dil ko le kar hum kahan ab jaenge
fitna-gar wo shahr-bhar mein jalwa-gar hone ko hai
jo hamari jaan the hone lage hain ajnabi
kaisa kaisa zaKHm kari ruh par hone ko hai
ai shab-e-gham tu bata in hasraton se kya kahen
bach rahi hain chand sansen aur sahar hone ko hai
ek bala ke ba'd phir se ek bala aati rahi
lazmi ek zarb hum par kargar hone ko hai
dastan-e-gham suna kar wo to uTh kar chal diye
phir se hum par gham ki barish taza-tar hone ko hai
hain meri aankhon mein aansu aur labon par jaan hai
zindagi ai zindagi tu muKHtasar hone ko hai
jo ki mangi thin duaen kho gain jaane kahan
kuchh hai ghabrahaT ki ye sab be-asar hone ko hai
un ka aana tha ki sare baam-o-dar sajne lage
KHushnuma is shahr ki har rahguzar hone ko hai
bas nazar ki baat thi jo hum ko ghayal kar gai
qatl-gah-e-ishq ki hum par nazar hone ko hai
kuchh to aisi baat hai wo baam par aane lage
kis pe mail aaj-kal bedad-gar hone ko hai
hum ne 'barham' dekh li ye zindagi wo zindagi
dekhte hi dekhte KHun-e-jigar hone ko hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.