zindagi ki talKHiyon par KHak Dali jaegi
zindagī kī talḳhiyoñ par ḳhaak Daalī jā.egī
is tarah se zindagī āsāñ banā lī jā.egī
surḳh āñkheñ zard chehra sard aa.heñ dil udaas
ab kisī sūrat to ye sūrat sañbhālī jā.egī
majlisī maanā tabassum hai laboñ par in dinoñ
is pe ummīdoñ kī phir se niiñv Daalī jā.egī
pairahan ye hasratoñ kā ab rafū hogā janāb
har ḳhushī jo ruuTh baiThī thī manā lī jā.egī
zindagī ke isti’āre phir badal jā.eñge ab
phir tamannā ḳhūb-sūrat dil meñ paalī jā.egī
dard-o-ġham kī ab yahāñ tāsīr ulTegī miyāñ
choT bhī dil kī hunar apnā banā lī jā.egī
chiir degī āsmāñ tak kā kaleja ek din
mat samajhnā āh-e-bekas hai to kHālī jā.egī
ham badal Dāleñge likkhā kātib-e-taqdīr kā
apnī qismat apne hāthoñ se sajā lī jā.egī
qahqahe gūñjeñge har pal ab fazāoñ meñ 'karan'
dard kī ab roz-o-shab mayyat nikālī jā.egī
zindagi ki talKHiyon par KHak Dali jaegi
is tarah se zindagi aasan bana li jaegi
surKH aankhen zard chehra sard aahen dil udas
ab kisi surat to ye surat sanbhaali jaegi
majlisi mana tabassum hai labon par in dinon
is pe ummidon ki phir se ninw Dali jaegi
pairahan ye hasraton ka ab rafu hoga janab
har KHushi jo ruTh baiThi thi mana li jaegi
zindagi ke isti’are phir badal jaenge ab
phir tamanna KHub-surat dil mein pali jaegi
dard-o-gham ki ab yahan tasir ulTegi miyan
choT bhi dil ki hunar apna bana li jaegi
chir degi aasman tak ka kaleja ek din
mat samajhna aah-e-bekas hai to kHali jaegi
hum badal Dalenge likkha katib-e-taqdir ka
apni qismat apne hathon se saja li jaegi
qahqahe gunjenge har pal ab fazaon mein 'karan'
dard ki ab roz-o-shab mayyat nikali jaegi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.