zindagi ki talKHiyon par muskuraun kyon bhala
zindagī kī talḳhiyoñ par muskurā.ūñ kyoñ bhalā
hañs ke har ġham ko maiñ siine se lagā.ūñ kyoñ bhalā
āshnā huuñ maiñ muqaddar kī haqīqat se nadīm
phir 'amal kī zindagī se jī churā.ūñ kyoñ bhalā
anginat yād-e-havādis ā.eñge ai nāḳhudā
apnī kashtī ko na tūfāñ se bachā.ūñ kyoñ bhalā
tum mujhe fasl-e-ḳhizāñ kā ḳhauf kyoñ dete rahe
maiñ kabhī phūloñ kī ḳhushbū tak na pā.ūñ kyoñ bhalā
is jahāñ meñ kaun jaltā hai parā.ī aag meñ
ashk-e-ḳhūñ maiñ apnī āñkhoñ se girā.ūñ kyoñ bhalā
zindagi ki talKHiyon par muskuraun kyon bhala
hans ke har gham ko main sine se lagaun kyon bhala
aashna hun main muqaddar ki haqiqat se nadim
phir 'amal ki zindagi se ji churaun kyon bhala
anginat yaad-e-hawadis aaenge ai naKHuda
apni kashti ko na tufan se bachaun kyon bhala
tum mujhe fasl-e-KHizan ka KHauf kyon dete rahe
main kabhi phulon ki KHushbu tak na paun kyon bhala
is jahan mein kaun jalta hai parai aag mein
ashk-e-KHun main apni aankhon se giraun kyon bhala
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.