zindagi ki tarjumani aur main
zindagī kī tarjumānī aur maiñ
jaise dariyā kī ravānī aur maiñ
dam-ba-dam karte haiñ terā tazkira
terī tasvīreñ purānī aur maiñ
phir nikal aa.e haiñ sahrā kī taraf
vahshat-e-dil jāñ-fishānī aur maiñ
aa.ine be-chehragī kī daad haiñ
ek āshufta kahānī aur maiñ
diid kī tālib haiñ terī chārāgar
chashm-e-pur-nam rut ḳhizānī aur maiñ
bas yahī kuchh thā ta'alluq kā sabab
mere dil kī ḳhush-gumānī aur maiñ
manzileñ gum-gashta rāheñ aur tū
'ishrat-e-‘ahd-e-javānī aur maiñ
zindagi ki tarjumani aur main
jaise dariya ki rawani aur main
dam-ba-dam karte hain tera tazkira
teri taswiren purani aur main
phir nikal aae hain sahra ki taraf
wahshat-e-dil jaan-fishani aur main
aaine be-chehragi ki dad hain
ek aashufta kahani aur main
did ki talib hain teri chaaragar
chashm-e-pur-nam rut KHizani aur main
bas yahi kuchh tha ta'alluq ka sabab
mere dil ki KHush-gumani aur main
manzilen gum-gashta rahen aur tu
'ishrat-e-‘ahd-e-jawani aur main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.