zindagi ki tez itni ab rawani ho gai
zindagī kī tez itnī ab ravānī ho ga.ī
baat jo sochī vo kahne tak purānī ho ga.ī
aam sī ik baat thī apnī mohabbat bhī magar
ye bhī jab logoñ talak pahuñchī kahānī ho ga.ī
ḳhauf kī parchhā.iyāñ haiñ har dar-o-dīvār par
apne ghar par jaane kis kī hukmarānī ho ga.ī
zindagī ke baad 'aḳhtar' zindagī ik aur hai
maut bhī jaise faqat naql-e-makānī ho ga.ī
zindagi ki tez itni ab rawani ho gai
baat jo sochi wo kahne tak purani ho gai
aam si ek baat thi apni mohabbat bhi magar
ye bhi jab logon talak pahunchi kahani ho gai
KHauf ki parchhaiyan hain har dar-o-diwar par
apne ghar par jaane kis ki hukmarani ho gai
zindagi ke baad 'aKHtar' zindagi ek aur hai
maut bhi jaise faqat naql-e-makani ho gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.