zindagi ko ek mani de gaya
zindagī ko ek ma.anī de gayā
vo mujhe ik rut suhānī de gayā
vo to apne lams se atrāf meñ
ḳhushbū jaise zāfrānī de gayā
soch kar jiite rahe shām-o-sahar
ḳhvāb jaisī ik kahānī de gayā
muntashir haiñ dhaḌkanoñ ke saaz bhī
dard meñ aisī ravānī de gayā
Tiis ban kar rah gayā pahlū meñ jo
zaḳhm aisā jāvedānī de gayā
chhīn kar lab se tabassum kī lakīr
jhiil sī āñkhoñ meñ paanī de gayā
zindagi ko ek mani de gaya
wo mujhe ek rut suhani de gaya
wo to apne lams se atraf mein
KHushbu jaise zafrani de gaya
soch kar jite rahe sham-o-sahar
KHwab jaisi ek kahani de gaya
muntashir hain dhaDkanon ke saz bhi
dard mein aisi rawani de gaya
Tis ban kar rah gaya pahlu mein jo
zaKHm aisa jawedani de gaya
chhin kar lab se tabassum ki lakir
jhil si aankhon mein pani de gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.