zindagi ko gham-e-jaanan ke hawale kar dun
zindagī ko ġham-e-jānāñ ke havāle kar duuñ
jis kā Dar hai usī tūfāñ ke havāle kar duuñ
laao ab lutf-e-bahārāñ meñ izāfe ke liye
āshiyāñ jashn-e-bahārāñ ke havāle kar duuñ
dāman-e-‘aql meñ ye chain se rah saktā hai
dil-e-nādāñ ko nigahbāñ ke havāle kar duuñ
ḳhvāb-e-ummīd kī tā'bīr mirā īmāñ hai
kyoñ ise zehn-e-pareshāñ ke havāle kar duuñ
dil ke badle mire pahlū meñ hai mauj-e-larzāñ
kyā ise dīda-e-giryāñ ke havāle kar duuñ
har nafas meñ anal-insāñ kā hai naġhma pinhāñ
maiñ ise sāz-e-rag-e-jāñ ke havāle kar duuñ
jo añdherā nazar aatā hai charāġhoñ ke tale
kyoñ na maiñ us ko shabistāñ ke havāle kar duuñ
mujh se baḌh kar koī bad-zauq bhalā kyā hogā
maiñ agar dard ko darmāñ ke havāle kar duuñ
us ne duniyā ko banāyā bhī sañvārā bhī 'urūj'
phir ye sochā ise insāñ ke havāle kar duuñ
zindagi ko gham-e-jaanan ke hawale kar dun
jis ka Dar hai usi tufan ke hawale kar dun
lao ab lutf-e-bahaaran mein izafe ke liye
aashiyan jashn-e-bahaaran ke hawale kar dun
daman-e-‘aql mein ye chain se rah sakta hai
dil-e-nadan ko nigahban ke hawale kar dun
KHwab-e-ummid ki ta'bir mera iman hai
kyon ise zehn-e-pareshan ke hawale kar dun
dil ke badle mere pahlu mein hai mauj-e-larzan
kya ise dida-e-giryan ke hawale kar dun
har nafas mein anal-insan ka hai naghma pinhan
main ise saz-e-rag-e-jaan ke hawale kar dun
jo andhera nazar aata hai charaghon ke tale
kyon na main us ko shabistan ke hawale kar dun
mujh se baDh kar koi bad-zauq bhala kya hoga
main agar dard ko darman ke hawale kar dun
us ne duniya ko banaya bhi sanwara bhi 'uruj'
phir ye socha ise insan ke hawale kar dun
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.