zindagi ko meri mahrum-e-dua rahne de
zindagī ko mirī mahrūm-e-duā rahne de
jo bhī taqdīr meñ likkhā hai likhā rahne de
bistar-e-marg pe chup-chāp paḌā rahne de
ġham ke sho.aloñ ko na de aur havā rahne de
pyaar kā panchhī palaT aa.egā kal mumkin hai
vāpsī ke liye darvāza khulā rahne de
ḳhuub sajtī hai laboñ par tire phūloñ kī mahak
apne hoñToñ pe tabassum kī ziyā rahne de
tū amīroñ kā musāhib hai mubārak ho tujhe
mere hisse meñ ġharīboñ kī duā rahne de
vaqt ne phuul se hāthoñ meñ diyā hai ḳhanjar
aise hālāt meñ mat ḳhvāb sajā rahne de
fasl iḳhlās kī 'ashraf' na jhulas jaa.e kahīñ
aag nafrat kī na siine meñ jalā rahne de
zindagi ko meri mahrum-e-dua rahne de
jo bhi taqdir mein likkha hai likha rahne de
bistar-e-marg pe chup-chap paDa rahne de
gham ke shoalon ko na de aur hawa rahne de
pyar ka panchhi palaT aaega kal mumkin hai
wapsi ke liye darwaza khula rahne de
KHub sajti hai labon par tere phulon ki mahak
apne honTon pe tabassum ki ziya rahne de
tu amiron ka musahib hai mubarak ho tujhe
mere hisse mein gharibon ki dua rahne de
waqt ne phul se hathon mein diya hai KHanjar
aise haalat mein mat KHwab saja rahne de
fasl iKHlas ki 'ashraf' na jhulas jae kahin
aag nafrat ki na sine mein jala rahne de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.