zindagi kya hai ba-juz wahm-o-guman mere liye
zindagi kya hai ba-juz wahm-o-guman mere liye
Mahtab Haider Naqvi
MORE BYMahtab Haider Naqvi
zindagī kyā hai ba-juz vahm-o-gumāñ mere liye
ye zamīñ jab ho ga.ī be-āsmāñ mere liye
vo badan sahrā baḌhā detā hai pahle merī pyaas
aur ban jaatā hai phir āb-e-ravāñ mere liye
mausam-e-dil ne bikhere dil ke bāhar apne rañg
rañg-e-gul us ke liye rañg-e-ḳhizāñ mere liye
shahr meñ lagtī hai phir ik roz bujh jaatī hai aag
chhoḌ jaatī hai magar saarā dhuāñ mere liye
us se milne kā samāñ us se judā.ī kī ghaḌī
aur phir kuchh bhī nahīñ sūd-o-ziyāñ mere liye
āsmān-e-dil pe raushan lafz-o-ma.anī kī tarah
hai zamīn-e-sher kī ye kahkashāñ mere liye
zindagi kya hai ba-juz wahm-o-guman mere liye
ye zamin jab ho gai be-asman mere liye
wo badan sahra baDha deta hai pahle meri pyas
aur ban jata hai phir aab-e-rawan mere liye
mausam-e-dil ne bikhere dil ke bahar apne rang
rang-e-gul us ke liye rang-e-KHizan mere liye
shahr mein lagti hai phir ek roz bujh jati hai aag
chhoD jati hai magar sara dhuan mere liye
us se milne ka saman us se judai ki ghaDi
aur phir kuchh bhi nahin sud-o-ziyan mere liye
aasman-e-dil pe raushan lafz-o-mani ki tarah
hai zamin-e-sher ki ye kahkashan mere liye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.