zindagi kya sawal sa hai kuchh
zindagī kyā savāl sā hai kuchh
ek sāñsoñ kā jaal sā hai kuchh
tere hoñToñ pe hai hañsī kaisī
tū bhī ġham se niDhāl sā hai kuchh
us ne dekhā hai par nahīñ dekhā
dil ko mere malāl sā hai kuchh
ratjagoñ kā 'azāb kyā kahiye
ḳhvāb-e-gul pā.emāl sā hai kuchh
ek shā'ir ne kah diyā tujh ko
husn terā kamāl sā hai kuchh
mujh se thoḌā gurez hī kiije
merī jaañ par vabāl sā hai kuchh
DhūñDne par bhī aadmī na mile
kaisā qaht-ur-rijāl sā hai kuchh
be-sabab yuuñ hī TuuT jaatā hai
dil to jām-e-sifāl sā hai kuchh
vaj.h-e-dīvāngī kise mā'lūm
mujh pe 'hammād' haal sā hai kuchh
zindagi kya sawal sa hai kuchh
ek sanson ka jal sa hai kuchh
tere honTon pe hai hansi kaisi
tu bhi gham se niDhaal sa hai kuchh
us ne dekha hai par nahin dekha
dil ko mere malal sa hai kuchh
ratjagon ka 'azab kya kahiye
KHwab-e-gul paemal sa hai kuchh
ek sha'ir ne kah diya tujh ko
husn tera kamal sa hai kuchh
mujh se thoDa gurez hi kije
meri jaan par wabaal sa hai kuchh
DhunDne par bhi aadmi na mile
kaisa qaht-ur-rijal sa hai kuchh
be-sabab yun hi TuT jata hai
dil to jam-e-sifal sa hai kuchh
wajh-e-diwangi kise ma'lum
mujh pe 'hammad' haal sa hai kuchh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.