zindagi mange hai KHwabon ke KHaridar bahut
zindagī māñge hai ḳhvāboñ ke ḳharīdār bahut
raah roke hai magar vaqt kī dīvār bahut
taaza riste hue zaḳhmoñ ke kañval mahkāo
gulshan-e-zīst meñ aa.e haiñ ḳharīdār bahut
chand paisoñ ke liye jin ke qalam bikte haiñ
tum ko mil jā.eñge hotel meñ vo fankār bahut
ghol do jaam meñ maḳhmūr nigāhoñ kā nasha
yād-e-māzī se hai bechain ye mai-ḳhvār bahut
taaza phūloñ ko mirī mez pe rakhne vaale
yaad aa.egā mahaktā huā ye pyaar bahut
ek tum hote to jiine kī tamanna hotī
yuuñ to har gaam pe milte rahe mai-ḳhvār bahut
ek farsūda rivāyat ke sivā kuchh bhī nahīñ
pyaar ke naam pe sajte haiñ jo bāzār bahut
us kā mīThā vo tarannum vo ġhazal 'sādiq' kī
yaad aatā hai vo tanhā.ī meñ dildār bahut
zindagi mange hai KHwabon ke KHaridar bahut
rah roke hai magar waqt ki diwar bahut
taza riste hue zaKHmon ke kanwal mahkao
gulshan-e-zist mein aae hain KHaridar bahut
chand paison ke liye jin ke qalam bikte hain
tum ko mil jaenge hotel mein wo fankar bahut
ghol do jam mein maKHmur nigahon ka nasha
yaad-e-mazi se hai bechain ye mai-KHwar bahut
taza phulon ko meri mez pe rakhne wale
yaad aaega mahakta hua ye pyar bahut
ek tum hote to jine ki tamanna hoti
yun to har gam pe milte rahe mai-KHwar bahut
ek farsuda riwayat ke siwa kuchh bhi nahin
pyar ke nam pe sajte hain jo bazar bahut
us ka miTha wo tarannum wo ghazal 'sadiq' ki
yaad aata hai wo tanhai mein dildar bahut
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.