zindagi mein ab kahin Thahraw aana chahiye
zindagī meñ ab kahīñ Thahrāv aanā chāhiye
naaoñ meñ thoḌā bahut uljhāv aanā chāhiye
tū ne jo baḳhshe mujhe vo zaḳhm saare bhar chuke
terī jānib se nayā ab ghaav aanā chāhiye
jab pahuñch jā.ūñ kabhī maiñ qais ke me.aar tak
mere hisse meñ bhī tab pathrāv aanā chāhiye
gar utarnā hai janāb-e-ishq ke maidān meñ
kuchh bichhaḌne kā bhī tum ko daav aanā chāhiye
ḳhud ko le aaya huuñ 'ḳhālid' maiñ bhare bāzār meñ
merā bhī yūsuf ke jitnā bhaav aanā chāhiye
zindagi mein ab kahin Thahraw aana chahiye
naon mein thoDa bahut uljhaw aana chahiye
tu ne jo baKHshe mujhe wo zaKHm sare bhar chuke
teri jaanib se naya ab ghaw aana chahiye
jab pahunch jaun kabhi main qais ke mear tak
mere hisse mein bhi tab pathraw aana chahiye
gar utarna hai janab-e-ishq ke maidan mein
kuchh bichhaDne ka bhi tum ko daw aana chahiye
KHud ko le aaya hun 'KHalid' main bhare bazar mein
mera bhi yusuf ke jitna bhaw aana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.