zindagi mein babul rakkhe gae
zindagī meñ babūl rakkhe ga.e
aur turbat pe phuul rakkhe ga.e
kor-chashmoñ se kyā gila karnā
aa.ine hī fuzūl rakkhe ga.e
vo jinheñ sangsār honā thā
un ke qadmoñ meñ phuul rakkhe ga.e
kī ga.ī iltijā kī fahmā.ish
band bāb-e-qubūl rakkhe ga.e
maslahat DhūñDne lage the usuul
is liye kuchh usuul rakkhe ga.e
ā.inoñ par ḳharāsheñ Daalī ga.iiñ
aur chehre malūl rakkhe ga.e
maqtā honā thā ho gayā 'tāriq'
fe.al felun fa.uul rakkhe ga.e
zindagi mein babul rakkhe gae
aur turbat pe phul rakkhe gae
kor-chashmon se kya gila karna
aaine hi fuzul rakkhe gae
wo jinhen sangsar hona tha
un ke qadmon mein phul rakkhe gae
ki gai iltija ki fahmaish
band bab-e-qubul rakkhe gae
maslahat DhunDne lage the usul
is liye kuchh usul rakkhe gae
aainon par KHarashen Dali gain
aur chehre malul rakkhe gae
maqta hona tha ho gaya 'tariq'
feal felun faul rakkhe gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.