zindagi mein bas yahi ek masala hai aaj-kal
zindagi mein bas yahi ek masala hai aaj-kal
Santosh Singh Shekhar
MORE BYSantosh Singh Shekhar
zindagī meñ bas yahī ik mas.ala hai āj-kal
koī jiine kī duā.eñ de rahā hai aaj kal
tere chup ho jaane se in panchhiyoñ ko kyā huā
panchhiyoñ kā kyoñ galā baiThā huā hai āj-kal
saare achchhe log ham ko mai-kade meñ mil ga.e
mai-kade kā asl chehra dikh rahā hai āj-kal
vaqt se maiñ bhī ḳhafā huuñ har ghaḌī ye soch kar
vaqt merā mujh se āḳhir kyoñ ḳhafā hai āj-kal
ḳhud-kushī kī sochtā huuñ aur us kā chehra bhī
ain-mumkin hai ki donoñ jā-ba-jā hai āj-kal
bhuul jā.eñge mujhe sab ye ḳhabar mujh ko bhī hai
ab kahāñ mujh se kisī ko fā.eda hai āj-kal
ishq ke maidān meñ aane se pahle soch lo
har khilāḌī tez geñdeñ pheñktā hai āj-kal
zindagi mein bas yahi ek masala hai aaj-kal
koi jine ki duaen de raha hai aaj kal
tere chup ho jaane se in panchhiyon ko kya hua
panchhiyon ka kyon gala baiTha hua hai aaj-kal
sare achchhe log hum ko mai-kade mein mil gae
mai-kade ka asl chehra dikh raha hai aaj-kal
waqt se main bhi KHafa hun har ghaDi ye soch kar
waqt mera mujh se aaKHir kyon KHafa hai aaj-kal
KHud-kushi ki sochta hun aur us ka chehra bhi
ain-mumkin hai ki donon ja-ba-ja hai aaj-kal
bhul jaenge mujhe sab ye KHabar mujh ko bhi hai
ab kahan mujh se kisi ko faeda hai aaj-kal
ishq ke maidan mein aane se pahle soch lo
har khilaDi tez genden phenkta hai aaj-kal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.