zindagi mein kami na ho jae
zindagī meñ kamī na ho jaa.e
tum miloge yaqīñ na kho jaa.e
bhuul jā.ūñ tujhe duā hai aur
iltijā hai vahī na ho jaa.e
tum milo par aziiz hai ġham bhī
Dar hai mujh ko ḳhushī na ho jaa.e
āshiqī bandagī huī hai yuuñ
tū ḳhudā maiñ valī na ho jaa.e
raat bhar to diyā rahā raushan
sub.h jab ho tabhī na so jaa.e
zabt-e-ġham se mire hī Dartā huuñ
dekh kar vo kahīñ na ro jaa.e
ek ho jaa.eñ is qadar 'betāb'
maiñ na ho.uuñ kahīñ na vo jaa.e
zindagi mein kami na ho jae
tum miloge yaqin na kho jae
bhul jaun tujhe dua hai aur
iltija hai wahi na ho jae
tum milo par aziz hai gham bhi
Dar hai mujh ko KHushi na ho jae
aashiqi bandagi hui hai yun
tu KHuda main wali na ho jae
raat bhar to diya raha raushan
subh jab ho tabhi na so jae
zabt-e-gham se mere hi Darta hun
dekh kar wo kahin na ro jae
ek ho jaen is qadar 'betab'
main na houn kahin na wo jae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.