zindagi mein kuchh bahana chahiye
zindagī meñ kuchh bahānā chāhiye
mushkiloñ meñ muskurānā chāhiye
is na.e māhaul se jī bhar gayā
ab vahī rishta purānā chāhiye
'ishq kī rāheñ añdherī ho rahīñ
ab charāġhoñ ko jalānā chāhiye
kaun rahtā hai safar meñ 'umr bhar
mustaqil koī Thikānā chāhiye
chāplūsī kā hunar achchhā nahīñ
naam apnā ḳhud kamānā chāhiye
jab nadī meñ hai muqarrar Dūbnā
kyoñ na qismat āzmānā chāhiye
bevafā se 'āshiqī achchhī nahīñ
ye mohabbat bhuul jaanā chāhiye
raah ye tanhā chaloge kab talak
ab tumheñ bhī lauT aanā chāhiye
zindagi mein kuchh bahana chahiye
mushkilon mein muskurana chahiye
is nae mahaul se ji bhar gaya
ab wahi rishta purana chahiye
'ishq ki rahen andheri ho rahin
ab charaghon ko jalana chahiye
kaun rahta hai safar mein 'umr bhar
mustaqil koi Thikana chahiye
chaplusi ka hunar achchha nahin
nam apna KHud kamana chahiye
jab nadi mein hai muqarrar Dubna
kyon na qismat aazmana chahiye
bewafa se 'ashiqi achchhi nahin
ye mohabbat bhul jaana chahiye
rah ye tanha chaloge kab talak
ab tumhein bhi lauT aana chahiye
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.