zindagi mein pyar ka gar hadisa hota nahin
zindagī meñ pyaar kā gar hādisa hotā nahīñ
to nazar ko āñsuoñ kā aasrā hotā nahīñ
'ādatan sab pūchhte haiñ mujh se terī ḳhairiyat
kyā kahūñ 'arse se apnā sāmnā hotā nahīñ
kyoñ bahāroñ kā ho svāgat kyoñ ḳhizāñ se be-ruḳhī
jo bhī mausam zindagī meñ ho sadā hotā nahīñ
dekh lete ham haiñ sūrat apnī dil meñ jhāñk kar
sāmne jab bhī hamāre aa.ina hotā nahīñ
sabr se hoñ baiTh kar bāteñ kabhī fursat meñ ye
ek pal meñ 'umr bhar kā faisla hotā nahīñ
zindagi mein pyar ka gar hadisa hota nahin
to nazar ko aansuon ka aasra hota nahin
'adatan sab puchhte hain mujh se teri KHairiyat
kya kahun 'arse se apna samna hota nahin
kyon bahaaron ka ho swagat kyon KHizan se be-ruKHi
jo bhi mausam zindagi mein ho sada hota nahin
dekh lete hum hain surat apni dil mein jhank kar
samne jab bhi hamare aaina hota nahin
sabr se hon baiTh kar baaten kabhi fursat mein ye
ek pal mein 'umr bhar ka faisla hota nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.