Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

zindagi mein sada wo mohabbat rahe

Aisha Farheen

zindagi mein sada wo mohabbat rahe

Aisha Farheen

MORE BYAisha Farheen

    zindagī meñ sadā vo mohabbat rahe

    maañ ke qadmoñ tale merī jannat rahe

    jis ke hone se ābād hai ye jahāñ

    ye duā hai mirī vo salāmat rahe

    ruuTh jaa.e agar maañ kisī baat par

    phir adhūrī mirī har ibādat rahe

    uf bhī kahnā nahīñ maañ ko rab ne kahā

    vo agar ḳhush rahe ghar meñ barakat rahe

    maañ chalī jaa.e to sab bikhar jā.eñge

    ai ḳhudā paas sab ke ye daulat rahe

    dil dukhānā nahīñ apne māñ-bāp

    yaad ye 'ā.isha' nasīhat rahe

    zindagi mein sada wo mohabbat rahe

    man ke qadmon tale meri jannat rahe

    jis ke hone se aabaad hai ye jahan

    ye dua hai meri wo salamat rahe

    ruTh jae agar man kisi baat par

    phir adhuri meri har ibaadat rahe

    uf bhi kahna nahin man ko rab ne kaha

    wo agar KHush rahe ghar mein barakat rahe

    man chali jae to sab bikhar jaenge

    ai KHuda pas sab ke ye daulat rahe

    dil dukhana nahin apne man-bap ka

    yaad ye 'aisha' ki nasihat rahe

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    ગુજરાતી ભાષા-સાહિત્યનો મંચ : રેખ્તા ગુજરાતી

    મધ્યકાલથી લઈ સાંપ્રત સમય સુધીની ચૂંટેલી કવિતાનો ખજાનો હવે છે માત્ર એક ક્લિક પર. સાથે સાથે સાહિત્યિક વીડિયો અને શબ્દકોશની સગવડ પણ છે. સંતસાહિત્ય, ડાયસ્પોરા સાહિત્ય, પ્રતિબદ્ધ સાહિત્ય અને ગુજરાતના અનેક ઐતિહાસિક પુસ્તકાલયોના દુર્લભ પુસ્તકો પણ તમે રેખ્તા ગુજરાતી પર વાંચી શકશો

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now