zindagi meri kabhi gham se juda ho na saki
zindagi meri kabhi gham se juda ho na saki
Jagjeewan Lal Asthana sahar
MORE BYJagjeewan Lal Asthana sahar
zindagī merī kabhī ġham se judā ho na sakī
dard baḌhtā hī gayā aur davā ho na sakī
zindagī maiñ ne bahut naaz uThā.e tere
ye alag baat ki tujh se hī vafā ho na sakī
jaane kis daur meñ kyā jurm kiyā thā ham ne
zindagī biit ga.ī ḳhatm sazā na ho sakī
phuul hī phuul haiñ har shāḳh-e-gulistāñ pe magar
merī taqdīr hī afsos rasā ho na sakī
saath sab chhoḌ ga.e hijr meñ merā lekin
kyoñ tirī yaad mire dil se judā ho na sakī
aadmī TuuT gayā justujū karte karte
zindagī dām-e-musībat se rihā ho na sakī
bichh ga.ī dhuup har ik samt ujāloñ kī magar
duur dil se mire zulmat kī ghaTā ho na sakī
sochtā rahtā huuñ aksar shab-e-tanhā.ī meñ
zindagī kyoñ mirī marhūn-e-duā ho na sakī
kyā ajab chiiz hai iz.hār-e-mohabbat bhī 'sahar'
baat lamhoñ kī thī sadiyoñ meñ adā ho na sakī
zindagi meri kabhi gham se juda ho na saki
dard baDhta hi gaya aur dawa ho na saki
zindagi main ne bahut naz uThae tere
ye alag baat ki tujh se hi wafa ho na saki
jaane kis daur mein kya jurm kiya tha hum ne
zindagi bit gai KHatm saza na ho saki
phul hi phul hain har shaKH-e-gulistan pe magar
meri taqdir hi afsos rasa ho na saki
sath sab chhoD gae hijr mein mera lekin
kyon teri yaad mere dil se juda ho na saki
aadmi TuT gaya justuju karte karte
zindagi dam-e-musibat se riha ho na saki
bichh gai dhup har ek samt ujalon ki magar
dur dil se mere zulmat ki ghaTa ho na saki
sochta rahta hun aksar shab-e-tanhai mein
zindagi kyon meri marhun-e-dua ho na saki
kya ajab chiz hai izhaar-e-mohabbat bhi 'sahar'
baat lamhon ki thi sadiyon mein ada ho na saki
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.