zindagi milti hai par mari milti hai
zindagi milti hai par mari milti hai
Syed Wajih Ul Hassan Sherazi
MORE BYSyed Wajih Ul Hassan Sherazi
zindagī miltī hai par marī miltī hai
ḳhāmushī miltī hai chīḳhtī miltī hai
dostī miltī hai matlabī miltī hai
ab mohabbat nahīñ dil-lagī miltī hai
vaqt us kā kisī aur ko miltā hai
mujh ko tohfe meñ bas ik ghaḌī miltī hai
chāñd sūraj se hī raushnī letā hai
tujh se ḳhurshīd ko raushnī miltī hai
itne ġham mujh ko milte haiñ kyoñ milte haiñ
mujh se mil kar ġhamoñ ko ḳhushī miltī hai
yaar mere tū miltā rahā kar mujhe
tujh se miltā huuñ to zindagī miltī hai
āj-kal sirf jiddat milegī 'vajīh'
'mīr' se 'jaun' se shā'irī miltī hai
zindagi milti hai par mari milti hai
KHamushi milti hai chiKHti milti hai
dosti milti hai matlabi milti hai
ab mohabbat nahin dil-lagi milti hai
waqt us ka kisi aur ko milta hai
mujh ko tohfe mein bas ek ghaDi milti hai
chand suraj se hi raushni leta hai
tujh se KHurshid ko raushni milti hai
itne gham mujh ko milte hain kyon milte hain
mujh se mil kar ghamon ko KHushi milti hai
yar mere tu milta raha kar mujhe
tujh se milta hun to zindagi milti hai
aaj-kal sirf jiddat milegi 'wajih'
'mir' se 'jaun' se sha'iri milti hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.