zindagi mushkil kabhi aisi na thi
zindagī mushkil kabhī aisī na thī
aur dil ko be-dilī aisī na thī
ham ne samjhā thā na jab tak ramz-e-shauq
dil kī āvāra-ravī aisī na thī
baam par jab tak ki tum aa.e na the
bām-o-dar par raushnī aisī na thī
jab talak hāsil na thā terā niyāz
apnī shān-e-bandagī aisī na thī
miT chukā hai is zamāne se ḳhulūs
us kī pahle to kamī aisī na thī
ham pahuñch jaate sar-e-manzil magar
rāhbar kī rahbarī aisī na thī
aap jab tak sāmne aa.e na the
ham pe taarī be-ḳhudī aisī na thī
jab talak pahlū meñ vo aa.e na the
lazzat-e-hamsā.egī aisī na thī
vo hasīñ hai 'auj' har mahfil kī jaan
us meñ pahle dilkashī aisī na thī
zindagi mushkil kabhi aisi na thi
aur dil ko be-dili aisi na thi
hum ne samjha tha na jab tak ramz-e-shauq
dil ki aawara-rawi aisi na thi
baam par jab tak ki tum aae na the
baam-o-dar par raushni aisi na thi
jab talak hasil na tha tera niyaz
apni shan-e-bandagi aisi na thi
miT chuka hai is zamane se KHulus
us ki pahle to kami aisi na thi
hum pahunch jate sar-e-manzil magar
rahbar ki rahbari aisi na thi
aap jab tak samne aae na the
hum pe tari be-KHudi aisi na thi
jab talak pahlu mein wo aae na the
lazzat-e-hamsaegi aisi na thi
wo hasin hai 'auj' har mahfil ki jaan
us mein pahle dilkashi aisi na thi
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.