zindagi naz kare jis pe wo pahchan bane
zindagī naaz kare jis pe vo pahchān bane
dekhiye aaj kā insān kab insān bane
ek afsāna mohabbat kā likhā thā ham ne
aur duniyā ke liye saikḌoñ unvān bane
sabr aur shukr kī manzil se vo guzrā hī nahīñ
jo pareshāñ na huā aur pareshān bane
kyā kahūñ is ke sivā aur mohabbat kyā hai
dil kī rag rag meñ samā kar vo mirī jaan bane
zindagī meñ mirī ik aisā bhī vaqt aaya hai
jānñe vaale mujhe dekh ke anjān bane
ishq meñ ḳhāna-e-dil donoñ ke vīrān rahe
mujh ko mehmān banāyā na vo mehmān bane
chand kāñToñ ke sivā shāḳhoñ meñ rakkhā kyā hai
kaun aise meñ gulistāñ kā nigahbān bane
mil gayā jahd-e-musalsal kā sila mujh ko 'la.īq'
kal ke ġham aaj mire aish kā sāmān bane
zindagi naz kare jis pe wo pahchan bane
dekhiye aaj ka insan kab insan bane
ek afsana mohabbat ka likha tha hum ne
aur duniya ke liye saikDon unwan bane
sabr aur shukr ki manzil se wo guzra hi nahin
jo pareshan na hua aur pareshan bane
kya kahun is ke siwa aur mohabbat kya hai
dil ki rag rag mein sama kar wo meri jaan bane
zindagi mein meri ek aisa bhi waqt aaya hai
jaanne wale mujhe dekh ke anjaan bane
ishq mein KHana-e-dil donon ke viran rahe
mujh ko mehman banaya na wo mehman bane
chand kanTon ke siwa shaKHon mein rakkha kya hai
kaun aise mein gulistan ka nigahban bane
mil gaya jahd-e-musalsal ka sila mujh ko 'laiq'
kal ke gham aaj mere aish ka saman bane
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.