zindagi paemal karte ho
zindagī pā.emāl karte ho
banda-parvar kamāl karte ho
zulm hai jor hai jafā.eñ haiñ
kis se kasb-e-kamāl karte ho
hijr denā mizāj hai un se
kyoñ savāl-e-visāl karte ho
vasl do-chār sā.atoñ ke liye
hijr meñ māh-o-sāl karte ho
ek hī dil thā de diyā tum ko
kis liye ab vabāl karte ho
vasl hai ek jis kī ḳhātir tum
jaane kitne savāl karte ho
jaan lenī hai jaan le lenā
is meñ kyā qīl-o-qāl karte ho
dard dete ho ranj dete ho
merā kitnā ḳhayāl karte ho
tum ko un se vafā kī hai ummīd
'raaj sāhab kamāl karte ho
zindagi paemal karte ho
banda-parwar kamal karte ho
zulm hai jor hai jafaen hain
kis se kasb-e-kamal karte ho
hijr dena mizaj hai un se
kyon sawal-e-visal karte ho
wasl do-chaar saaton ke liye
hijr mein mah-o-sal karte ho
ek hi dil tha de diya tum ko
kis liye ab wabaal karte ho
wasl hai ek jis ki KHatir tum
jaane kitne sawal karte ho
jaan leni hai jaan le lena
is mein kya qil-o-qal karte ho
dard dete ho ranj dete ho
mera kitna KHayal karte ho
tum ko un se wafa ki hai ummid
'raj sahab kamal karte ho
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.