zindagi pai hai ek chashm-e-sitam-gar ki tarah
zindagī paa.ī hai ik chashm-e-sitam-gar kī tarah
ham pareshāñ haiñ ġharīboñ ke muqaddar kī tarah
apnā tan karb-o-balā ban ke jalā hai barsoñ
ham bhī pyāse haiñ bahut āl-e-payambar kī tarah
ab koī raam nahīñ ġham kā dhanush jo toḌe
zindagī rotī hai siitā ke svayamvar kī tarah
ham ne chāhā thā ki ham apnī tarah se jī leñ
ham pe ilzām barasne lage patthar kī tarah
roz jī uThte haiñ sūraj kī kiran ke hamrāh
aur mar jaate haiñ har shaam samundar kī tarah
jaate rastoñ meñ kahāñ us ko gañvā aa.e 'hasan'
ek naqsha sā nigāhoñ meñ jo thā ghar kī tarah
zindagi pai hai ek chashm-e-sitam-gar ki tarah
hum pareshan hain gharibon ke muqaddar ki tarah
apna tan karb-o-bala ban ke jala hai barson
hum bhi pyase hain bahut aal-e-payambar ki tarah
ab koi ram nahin gham ka dhanush jo toDe
zindagi roti hai sita ke swayamwar ki tarah
hum ne chaha tha ki hum apni tarah se ji len
hum pe ilzam barasne lage patthar ki tarah
roz ji uThte hain suraj ki kiran ke hamrah
aur mar jate hain har sham samundar ki tarah
jate raston mein kahan us ko ganwa aae 'hasan'
ek naqsha sa nigahon mein jo tha ghar ki tarah
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.