zindagi par azab TuT gaya
zindagī par azaab TuuT gayā
jab kahīñ koī ḳhvāb TuuT gayā
saare jugnū udaas baiThe haiñ
kyā koī āftāb TuuT gayā
husn ke pattharoñ se Takrā kar
dil mirā be-hisāb TuuT gayā
jab se āñgan meñ uTh ga.ī dīvār
ghar kā saarā nisāb TuuT gayā
muflisī ghar meñ kyā huī dāḳhil
ek izzat-ma.āb TuuT gayā
vo nazar aa ga.e haiñ jab mujh ko
phir ye saarā hijāb TuuT gayā
zindagi par azab TuT gaya
jab kahin koi KHwab TuT gaya
sare jugnu udas baiThe hain
kya koi aaftab TuT gaya
husn ke pattharon se Takra kar
dil mera be-hisab TuT gaya
jab se aangan mein uTh gai diwar
ghar ka sara nisab TuT gaya
muflisi ghar mein kya hui daKHil
ek izzat-maab TuT gaya
wo nazar aa gae hain jab mujh ko
phir ye sara hijab TuT gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.