zindagi raste badal rahi hai
zindagī rāste badal rahī hai
maut bhī apnī chaal chal rahī hai
yā ilāhī ta.alluqāt kī ḳhair
dostī hāshiye pe chal rahī hai
chāñd masrūf hai ḳhalāoñ meñ
raushnī zā.iqe badal rahī hai
hañs ke manzūr kar liyā hai magar
baat ab bhī zarā sī khal rahī hai
be-yaqīnī kī ik ridā oḌhe
zindagī saath saath chal rahī hai
bad-gumānī kā ehtimāl to hai
sham-e-umīd phir bhī jal rahī hai
bañd muTThī meñ ret kī mānind
zindagī ai 'qalaq' phisal rahī hai
zindagi raste badal rahi hai
maut bhi apni chaal chal rahi hai
ya ilahi talluqat ki KHair
dosti hashiye pe chal rahi hai
chand masruf hai KHalaon mein
raushni zaiqe badal rahi hai
hans ke manzur kar liya hai magar
baat ab bhi zara si khal rahi hai
be-yaqini ki ek rida oDhe
zindagi sath sath chal rahi hai
bad-gumani ka ehtimal to hai
sham-e-umid phir bhi jal rahi hai
band muTThi mein ret ki manind
zindagi ai 'qalaq' phisal rahi hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.