zindagi sath faqat degi sahar hone tak
zindagī saath faqat degī sahar hone tak
kab ye sochā thā kabhī mulk-badar hone tak
kaun kab ruuTh gayā kis ko kahāñ bhuul ga.e
aao kuchh yaad kareñ ḳhatm safar hone tak
chand aañsū jo tirā tohfa hai lauTā.eñge
haañ chhupā rakkhe haiñ āñkhoñ meñ guhar hone tak
mujh ko kuchh paudoñ kā zimma jo diyā hai yārab
yaad bhī rakhnā zarā un ke shajar hone tak
āñdhiyāñ ā.eñgī tūfān bhī dam toḌeñge
ham jiye jā.eñge phūloñ se samar hone tak
zindagī mere taġhāful se to nārāz na ho
tujh se kyā pūchhtā maiñ apnī ḳhabar hone tak
us se itnā hī zarā pūchh le kyā biit gayā
dil ye kab ruktā hai phir aañkh ke tar hone tak
ham ne chāhat ke kisī saaz pe jo haath dharā
tham gayā dard har ik dard-e-jigar hone tak
zindagī tujh se mohabbat to bahut hai lekin
ruuTh jaa.eñ na kahīñ terī nazar hone tak
chaah jab aah se guzre to 'rishī' ban jaa.e
aur phir jī le kisī dasht ke ghar hone tak
zindagi sath faqat degi sahar hone tak
kab ye socha tha kabhi mulk-badar hone tak
kaun kab ruTh gaya kis ko kahan bhul gae
aao kuchh yaad karen KHatm safar hone tak
chand aansu jo tera tohfa hai lauTaenge
han chhupa rakkhe hain aankhon mein guhar hone tak
mujh ko kuchh paudon ka zimma jo diya hai yarab
yaad bhi rakhna zara un ke shajar hone tak
aandhiyan aaengi tufan bhi dam toDenge
hum jiye jaenge phulon se samar hone tak
zindagi mere taghaful se to naraaz na ho
tujh se kya puchhta main apni KHabar hone tak
us se itna hi zara puchh le kya bit gaya
dil ye kab rukta hai phir aankh ke tar hone tak
hum ne chahat ke kisi saz pe jo hath dhara
tham gaya dard har ek dard-e-jigar hone tak
zindagi tujh se mohabbat to bahut hai lekin
ruTh jaen na kahin teri nazar hone tak
chah jab aah se guzre to 'rishi' ban jae
aur phir ji le kisi dasht ke ghar hone tak
- Book : اردو غزل کا مغربی دریچہ(یورپ اور امریکہ کی اردو غزل کا پہلا معتبر ترین انتخاب) (Pg. 559)
- Publication : کتاب سرائے بیت الحکمت لاہور کا اشاعتی ادارہ
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.