zindagi se niras logon ko
zindagī se nirās logoñ ko
DhūñD lo ās-pās logoñ ko
ek din maiñ bhī chhoḌ jā.ūñgā
apne pīchhe udaas logoñ ko
kal maiñ tanhā safar pe niklūñgā
mā'zarat kar ke ḳhaas logoñ ko
qurbateñ raas jab nahīñ ātīñ
kyoñ bulāte ho paas logoñ ko
fasl bārūd meñ badal Daalo
aur khāne do ghaas logoñ ko
zindagī maut ban ke miltī hai
vaqt se nā-shanās logoñ ko
ḳhālī kashkol haath meñ le kar
kyoñ dilāte ho aas logoñ ko
zindagi se niras logon ko
DhunD lo aas-pas logon ko
ek din main bhi chhoD jaunga
apne pichhe udas logon ko
kal main tanha safar pe niklunga
ma'zarat kar ke KHas logon ko
qurbaten ras jab nahin aatin
kyon bulate ho pas logon ko
fasl barud mein badal Dalo
aur khane do ghas logon ko
zindagi maut ban ke milti hai
waqt se na-shanas logon ko
KHali kashkol hath mein le kar
kyon dilate ho aas logon ko
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.