zindagi se pas lekin husn ke qisse se dur
zindagī se paas lekin husn ke qisse se duur
ham ġhazal rakhte haiñ apnī zulf ke saa.e se duur
ham se jin ko unsiyat hai vo khiñche aa jā.eñge
un ko kyā nazdīk laa.eñ jo haiñ ḳhud pahle se duur
jaane kaise karb ubhre mere chehre par ki jo
vo nigāheñ apnī rakhte haiñ mire chehre se duur
ek lamha pyaar kā jis ko mile vo surḳh-rū
kyuuñ mujhe rakkhā gayā phir ik isī lamhe se duur
zabt karnā kitnā mushkil thā mujhe ma.alūm hai
zindagī ko phir bhī rakkhā maiñ ne har fitne se duur
zulm kar ke tū adālat se agar bach bhī gayā
soch bhāgegā kahāñ tak āsmāñ vaale se duur
āḳhirash ashkoñ ke chalte hī duā puurī huī
tum ne aḳhtar jin ko rakkhā aaj tak apne se duur
zindagi se pas lekin husn ke qisse se dur
hum ghazal rakhte hain apni zulf ke sae se dur
hum se jin ko unsiyat hai wo khinche aa jaenge
un ko kya nazdik laen jo hain KHud pahle se dur
jaane kaise karb ubhre mere chehre par ki jo
wo nigahen apni rakhte hain mere chehre se dur
ek lamha pyar ka jis ko mile wo surKH-ru
kyun mujhe rakkha gaya phir ek isi lamhe se dur
zabt karna kitna mushkil tha mujhe malum hai
zindagi ko phir bhi rakkha main ne har fitne se dur
zulm kar ke tu adalat se agar bach bhi gaya
soch bhagega kahan tak aasman wale se dur
aaKHirash ashkon ke chalte hi dua puri hui
tum ne aKHtar jin ko rakkha aaj tak apne se dur
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.