zindagi sham ko daftar se nikal aati hai
zindagī shaam ko daftar se nikal aatī hai
aur udāsī mire andar se nikal aatī hai
chādareñ jitnī bhī tabdīl karūñ tere baad
terī ḳhushbū mire bistar se nikal aatī hai
maiñ huuñ vo aag ki jis aag ko chakhne ke liye
jal-parī chal ke samundar se nikal aatī hai
jis qadar aap batāte haiñ mujhe sahrā meñ
itnī vīrānī mire ghar se nikal aatī hai
jab bhī hotī hai charāġhoñ se mulāqāt mirī
lahlahā kar mirī lau sar se nikal aatī hai
hazrat-e-hur ne nikal kar ye dikhāyā ham ko
raushnī raat ke lashkar se nikal aatī hai
shaam ke vaqt samundar meñ lahū ghulte hī
terī sūrat mire sāġhar se nikal aatī hai
kahāñ dabtī hai dabāne se mohabbat 'armān'
ye vo koñpal hai jo patthar se nikal aatī hai
zindagi sham ko daftar se nikal aati hai
aur udasi mere andar se nikal aati hai
chadaren jitni bhi tabdil karun tere baad
teri KHushbu mere bistar se nikal aati hai
main hun wo aag ki jis aag ko chakhne ke liye
jal-pari chal ke samundar se nikal aati hai
jis qadar aap batate hain mujhe sahra mein
itni virani mere ghar se nikal aati hai
jab bhi hoti hai charaghon se mulaqat meri
lahlaha kar meri lau sar se nikal aati hai
hazrat-e-hur ne nikal kar ye dikhaya hum ko
raushni raat ke lashkar se nikal aati hai
sham ke waqt samundar mein lahu ghulte hi
teri surat mere saghar se nikal aati hai
kahan dabti hai dabane se mohabbat 'arman'
ye wo konpal hai jo patthar se nikal aati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.