zindagi shab ke jaziron se udhar DhunDte hain
zindagī shab ke jazīroñ se udhar DhūñDte haiñ
aañkh meñ ashk jo chamkeñ to sahar DhūñDte haiñ
ḳhaak kī tah se udhar koī kahāñ miltā hai
ham ko mālūm hai ye baat magar DhūñDte haiñ
kār-e-duniyā se ulajhtī haiñ jo sāñseñ apnī
zaḳhm ginte haiñ kabhī misra-e-tar DhūñDte haiñ
be-hunar honā bhī hai maut kī sūrat ai dost
zinda rahne ke liye koī hunar DhūñDte haiñ
dastakeñ kab se hathelī meñ chhupī haiñ 'shahbāz'
shahr-e-asrār kī dīvār meñ dar DhūñDte haiñ
zindagi shab ke jaziron se udhar DhunDte hain
aankh mein ashk jo chamken to sahar DhunDte hain
KHak ki tah se udhar koi kahan milta hai
hum ko malum hai ye baat magar DhunDte hain
kar-e-duniya se ulajhti hain jo sansen apni
zaKHm ginte hain kabhi misra-e-tar DhunDte hain
be-hunar hona bhi hai maut ki surat ai dost
zinda rahne ke liye koi hunar DhunDte hain
dastaken kab se hatheli mein chhupi hain 'shahbaz'
shahr-e-asrar ki diwar mein dar DhunDte hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.