zindagi soz bane saz na hone pae
zindagi soz bane saz na hone pae
Kunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
MORE BYKunwar Mahendra Singh Bedi Sahar
zindagī soz bane saaz na hone paa.e
dil to TuuTe magar āvāz na hone paa.e
dard agar shāmil-e-āvāz na hone paa.e
koī monis koī dam-sāz na hone paa.e
jaam se kuchh ko pilā kuchh ko nigāhoñ se magar
koī mai-kash nazar-andāz na hone paa.e
lutf jab hai ki rahe ishq sadā mahv-e-niyāz
aur is baat pe bhī naaz na hone paa.e
ḳhud ko karnā hai junūñ ke jo havāle to ye sun
aql hargiz ḳhalal-andāz na hone paa.e
jis meñ anjām kā ho ḳhauf sadā dāman-gīr
aise afsāne kā āġhāz na hone paa.e
ishq aur husn mileñ mil ke ḳhudā ban jaa.eñ
gar havas tafraqa-andāz na hone paa.e
āshiyāñ kunj-e-qafas se bhī girāñ-tar ho 'sahar'
gar muāvin par-e-parvāz na hone paa.e
zindagi soz bane saz na hone pae
dil to TuTe magar aawaz na hone pae
dard agar shamil-e-awaz na hone pae
koi monis koi dam-saz na hone pae
jam se kuchh ko pila kuchh ko nigahon se magar
koi mai-kash nazar-andaz na hone pae
lutf jab hai ki rahe ishq sada mahw-e-niyaz
aur is baat pe bhi naz na hone pae
KHud ko karna hai junun ke jo hawale to ye sun
aql hargiz KHalal-andaz na hone pae
jis mein anjam ka ho KHauf sada daman-gir
aise afsane ka aaghaz na hone pae
ishq aur husn milen mil ke KHuda ban jaen
gar hawas tafraqa-andaz na hone pae
aashiyan kunj-e-qafas se bhi giran-tar ho 'sahar'
gar muawin par-e-parwaz na hone pae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.