zindagi tere liye raushni late hue log
zindagī tere liye raushnī laate hue log
jal-bujhe ātish-e-idrāk churāte hue log
uTh ke dekhā to maiñ ḳhud bhī vahāñ maujūd na thā
le ga.e mujh ko mire ḳhvāb se jaate hue log
dard kī gard meñ āñkheñ bhī gañvā baiThe haiñ
ai ġham-e-dil tirī tasvīr banāte hue log
un ke bachche bhī inhī galiyoñ meñ rahte haiñ to phir
sochte kyoñ nahīñ shahroñ ko jalāte hue log
apne khetoñ meñ agar aag hī boī hai to phir
raakh ho jā.eñge ye fasl uThāte hue log
zindagi tere liye raushni late hue log
jal-bujhe aatish-e-idrak churaate hue log
uTh ke dekha to main KHud bhi wahan maujud na tha
le gae mujh ko mere KHwab se jate hue log
dard ki gard mein aankhen bhi ganwa baiThe hain
ai gham-e-dil teri taswir banate hue log
un ke bachche bhi inhi galiyon mein rahte hain to phir
sochte kyon nahin shahron ko jalate hue log
apne kheton mein agar aag hi boi hai to phir
rakh ho jaenge ye fasl uThate hue log
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.