zindagi teri adaon ka parastar hun main
zindagī terī adāoñ kā parastār huuñ maiñ
koī qīmat ho magar terā ḳharīdār huuñ maiñ
muftiyo muhtasibo haañ mujhe maslūb karo
zindagī jurm agar hai to ḳhatāvār huuñ maiñ
merī ġhairat ko kuchal do mujhe pāmāl karo
aaj ke daur meñ hai jurm ki ḳhud.dār huuñ maiñ
log haiñ merī ġharībī ke ḳharīdār bahut
āḳhrī daur kā luTtā huā bāzār huuñ maiñ
ek din maiñ bhī thā maz.hab ke parastāroñ meñ
aaj maz.hab kā hai nīlām to bezār huuñ maiñ
fikr-e-'ġhālib' se huā qadr-shanās-e-'ġhālib'
kaun kahtā hai ki 'ġhālib' kā taraf-dār huuñ maiñ
shā.erī ko na.ī qadroñ se sañvārā hai 'payām'
na.ī duniyā meñ na.ī fikr kā fan-kār huuñ maiñ
zindagi teri adaon ka parastar hun main
koi qimat ho magar tera KHaridar hun main
muftiyo muhtasibo han mujhe maslub karo
zindagi jurm agar hai to KHatawar hun main
meri ghairat ko kuchal do mujhe pamal karo
aaj ke daur mein hai jurm ki KHuddar hun main
log hain meri gharibi ke KHaridar bahut
aaKHri daur ka luTta hua bazar hun main
ek din main bhi tha mazhab ke parastaron mein
aaj mazhab ka hai nilam to bezar hun main
fikr-e-'ghaalib' se hua qadr-shanas-e-'ghaalib'
kaun kahta hai ki 'ghaalib' ka taraf-dar hun main
shaeri ko nai qadron se sanwara hai 'payam'
nai duniya mein nai fikr ka fan-kar hun main
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.