zindagi thi ye tamasha to nahin tha pahle
zindagī thī ye tamāshā to nahīñ thā pahle
aadmī itnā bhī tanhā to nahīñ thā pahle
har taraf sham-e-mohabbat ke ujāle the yahāñ
sūrateñ thiiñ ye añdherā to nahīñ thā pahle
daav par jazba-e-ulfat ko lagā dete the log
phir bhī dil itnā shikasta to nahīñ thā pahle
dekh lete the isī ruuh ke andar ḳhud ko
ā.īna ham pe adhūrā to nahīñ thā pahle
kabhī jal jaate the rāhoñ meñ lahū ke bhī charāġh
raushnī par koī pahrā to nahīñ thā pahle
zindagi thi ye tamasha to nahin tha pahle
aadmi itna bhi tanha to nahin tha pahle
har taraf sham-e-mohabbat ke ujale the yahan
suraten thin ye andhera to nahin tha pahle
daw par jazba-e-ulfat ko laga dete the log
phir bhi dil itna shikasta to nahin tha pahle
dekh lete the isi ruh ke andar KHud ko
aaina hum pe adhura to nahin tha pahle
kabhi jal jate the rahon mein lahu ke bhi charagh
raushni par koi pahra to nahin tha pahle
- Book : Ghazal Ke Rang (Pg. 162)
- Author : Akram Naqqash, Sohil Akhtar
- Publication : Aflaak Publications, Gulbarga (2014)
- Edition : 2014
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.